Friday, November 12, 2010

Akhir Kab Tak ?

Saraab Aur Shabab Akhir Kab Tak ?
Hushna-e-Jawani Akhir Kab Tak ?
Mehaphil Mein Rounak Akhir Kab Tak ?

           Ye To Nasha Hai Pyare,
Sham Ko Chadha To Sirf Subha Tak.

Hushn hai ki Ek Din Dhal Jayega,
Jawani ka Ghamand Kaisa ?
  Ek Din Budhape Main Badal Jayega.

"Main",  "Mera" Kuch nahin Hota
Ye Ghamand hai ki Sath Nahin Deta.

Waqt Badlta hai Badlega Jaroor,
Naseman Sambhalan,
Warna Thokar Lagega Jaroor.

Use ne Khud ka Na Saha
To Tera Kya Sahega,

 Aaj Jo Rulaya Kisiko
Kal tu Royega Jaroor.

Friday, October 8, 2010

Ye Duniya Bhi Kabhi Mehafil Tha

Ye Duniya Bhi Kabhi Mehafil Hua Karta Tha, Jo Aab Bazar Ban Gaya
Yahan Har Wo Chiz Bika,
Jo Kabhi Iss Mehafil ka Shan Hua Karta tha,
Hushna ka Karobar Hua Aur Jism Bik Gaya

Ye Duniya Bhi Kabhi Mehafil Hua Karta Tha, Jo Aab Bazar Ban Gaya.
Sharmohaya Jo Kabhi Aurat Ka Gahana Hua Karta Tha
Wo Gahana Bik Gaya
Nanga Badan Chaurahe Pe Lut Gaya.

Amir Ka Imaan,
Garib Ka Bebashi Bik Gaya
Ye Duniya Bhi Kabhi Mehafil Hua Karta Tha, Jo Aab Bazar Ban Gaya.

Thursday, October 7, 2010

KUCH KUCH

Zindagi Kuch Kuch Sarab Jaisa,
    Us Par Khushiyan Kuch Kuch Shabab Jaisa
Kal Kya Hoga Pata nahin,
     Aaj Lage Kuch Kuch Sawal Jaisa
Zindagi Abhi hai,
     Abhi Lage Kuch Kuch Jawab Jaisa


Gum Lage Kuch Kuch Zahar Jaisa
Us Par Pyar Lage Kuch Kuch Thandi Lahar Jaisa
Sach Kahein,
Zindagi Lage Kuch Kuch Mithi Zahar Jaisa.


Ye Dhire Dhire Chadata hai,
      Dhire Dhire Badhata hai Mrityu Sagar ke Aor


Sach Kahein,
   Mrityu Lage Kuch Kuch Nindon Ki Pari Jaisa,
   Zindagi Lage Kuch Kuch Phoolon Ki Kyari Jaisa,


Kante Bhi Hote hain,
   Phoolon Ki Narmi Main.
Sukun Bhi Milata hai,
   Suraj Ki Garmi Main.


Sach Kahein,
   Zindagi Lage Kuch Kuch Mere Jaise....................
   Sirf Mere Jaisa.

Friday, September 10, 2010

Tamanna Ne Zindagi Se Puchha

Ek Roz ki Baat hai,
             Tamnna ne Zindagi se puchha
            Main kab houngi puri
Zindagi ne kaha,
              Jab tu ho jayegi puri
Mera wajuda  kya hoga,
              Main to rahajaunga adhura.


Tamanna ne kaha,
                Tera mera kya hai Rista
                 Kya lagu main teri
Mujha bin bhala tu kyun ho jayga adhura


Zindagi ne kaha,
        Main Dil tu Dhadkan hai meri,
        Main Ghar tu Angan hai meri,
         Main Sharir tu Pran hai Pyari.


Tere bin Zindagi ka panna rahjayega kora,
Phir Zindagi bin Tamanna kaise hoga pura.
Hum dono Ekduje ke bin  hai Adhure


Sath Sath Chalenge
   Sath Sath Jalegen,
Phir ho Jayenge Chhu
Mai Zindagi Aur Meri Tamanna hai tu.
******************************************************************

Ye Soch Ke

Ye Soch ke Zakhm Dikhaya ki Dard Kam ho Jayega
Par Kya Pata Tha ki Zakhm Dekhne Wala hi Dard De Jayega.
Hum ne Gum kam Karne ka Ise Sahi Tarika Samjha
Par Gum Dene wale Ne Gum Dene ka Ise hi Sahi Mauka Samjha
Zalim ne Itna Tadpaya ki Hum Roo na Sake
Sayad Aansoo Kam Padgaye,
Isliye hum So na Sake.

RATRI

   
Suraj ki rosni se Dur 
Andhere ki aagosh hai Ratri 
Chand ki roshni se sarabor 
Kale badalon sa madhosh hai ratri  

Chand ki Pyas hai Ratri, 
Subha ki aash hai Ratri, 
Phir bhi Udash hai Ratri.  

Sapno ki Angadai hai, 
Tute khwab ki parchhai hai, 
Sirf ek Tanhai hai Ratri.  

Sunsan sadak hai Ratri 
Sannaton ki Tadap hai Ratri 
Sota Sharir,
Bejan Zindagi main 
BEhosh hai Ratri.  

Ek Ansuljhi paheli hai Ratri 
Chand aur taron ke bhid main bhi akeli hai Ratri 
Tanaha Zindagi ki Saheli hai Ratri. 
******************************************************